Saturday, April 14, 2012

मेरे कॉलेज के प्रोजेक्ट का आवरण पेज

kaisa laga aapko ye page ka layout ye mene apne collge k project k liye banaya tha ... aaj bhaut dino baad kuch likhne ka man hua to is  page k bahane likhne ki soch raha hu ...exam aa rhe hain or sath hi sath tenson badti ja rahi hain kyo k har saal to exam dene k baad intern karni hoti thi lekin ab chunooti bad gai hain kyoki ab intern ni karni ab JOB karni hain ..
pata ni kaha or kab job milegi lekin shayd muje lgta hain ab mahnat k din suru ho gye hain... teen saal bhaut saari pagalpantiya ki hain mene unme se ye blog b meri pagal panti me aata hain ,,,, sach batu to muje bada shok tha aisa kuch karne ka like website banane ka ... to ha hum kaha par the me bta raha tha ki teen saal ke andar  logo ki maane to humne bhaut kaam kiya hain rajneeti se lekar media me chaye huye the ye me ni kah raha aisa mere dost kahte hain... sach ya jhoot ye aap unse confirm kar lena lekin muje lagta hain mene in teen saal me kuch ni kiya sirf be faltu ki bhagdaudi k siwaye ...
log apni girlfrind patane me lage rahte the or hum pagalo ki tarah idhar se udhar pitaji ka paisa petrol me udate the mene collge k teen saal me bhaut kuch sikha hain apne dosto se kaisa paisa bachaya jata khaskar k ye baat mene sikhi hain apne kanjoos dosto se ...
ha to me kah rha tha ki mene teen saal apne pitaji ka paisa petrol me udaya log yani mere dost nai nai girlfrnd banate the or hum bhagte firte the logo nimartan dete the ki bhaiya aaj yaha aa jANA YAHA HUMNE EK SEMINAAR KA AYAOJAN karaya hain ... senior b khus rahte the nihal itne kam samay me seminaar ka aayojan gud ... loh seminaar me jaane k liye taraste the or hum seminaar ka aayojan karate the pitaji ka paisa ini kaamo me petrol me fukk jata tha ....bhaut jagah intern b ki lekin kisi naami jagah intern na karne ka malaal abhi tak rahta hai muje mere kuch ek dost aise the jinki ladkio se pr achi thi to wo star news chale gye intern karne or hum wahi k wahi rahe ... samaj aaya ki ladkio se pr badao bhai... pr badai lekin fir b intern ni kar paaye kisi bade channel me aisa ni hain ki muje waha intern nahi milli balki muje mil b jaati to me ni kar pata kyoki apne pass tym ka shortage bhaut rahta hain haalaki hum kaam to kuch nahi karte lekin tym ka shortage ki samasya humesha bani rahti hain...muje job to2 year me mil gai thi lekin kaha na ki hum job dene ki sochte the to job hume raas ni aai ...
job chod di fir malaal ho rha hain job chodne ka kuch to kamaya hota agar job kar rhe hote to kam se kam taane sunne ko to ni milte beta tmari shadi karni hain kuch kamana suru karo ladki wale puchte hain ldka kya karta hain to humse ans ni banta tm job b karo ... bhagwan ki dua se paise ki kami ni hain lekin
 AB NA NEED AA RHI HAI BAAKI KABHI OR PART-1

No comments:

Post a Comment

दिल्ली में स्थानीय स्वायत्त शासन का विकास

सन् 1863 से पहले की अवधि का दिल्ली में स्वायत शासन का कोई अभिलिखित इतिहास उपलब्ध नहीं है। लेकिन 1862 में किसी एक प्रकार की नगर पालिका की स्थ...